Monday, January 3, 2011

mahabaleshwar ki yaadein - 01.01.2011

hariyaali mein lipti ye dhund ...
humko aayi bahut pasand ...
vaadiyon ki sundarta main ...
mann kuch kho gaya hain ...
chetna kuch aisi jaagi ...
jaise janam nayaa hain ...
jheel ke kinaare ...
kuch yaadein samet rahein hain ...
masti ke kuch haseen lamhein ...
yuhi lapet rahein hain ...
lehron par sunheri dhoop ...
kyu itnna ithlaa rahi hain ...
sheetal chanchal pawan ye ...
mann ko behlaa rahi hain ...
ye nok jhok ki baatein ...
ye khatte meethe pal ...
khushi se guzaar le ...
rahein naa phir kal ...
mahabaleshwar ko tasviro mein ...
liye jaa rahein hain ...
suhaane safar ka geet yuhi ...
gungunaa rahein hain ...
ye safar aapke saath ...
hameshaa yaad rahegaa ...
yaad jab bhi aayegi ...
mann bas yahi kahegaa ...
ki chalo waapas ....
wahi safar dohraayein ...
mahabaleshwar ki yaadon ko ...
phir se jee aaye ....