Monday, July 30, 2012

Rakshabandhan

Choti behen ka bade bhai ko pyaar bharaa khat ....

Bachpan ki woh yaadein …
Katthi meethi baatein …
Aaj bhi yaad dilaati hain …

Woh nok jhok ke pal …
Woh paagalpan woh tedhi medhi shakal …
Woh mera yu gussa karna …
Woh aapka zoro se yu hasna …
Aur mera chid jaana …
Phir aapka yu aake mujhe manaanaa …
Aaj bhi yaad dilaati hain …

Woh mera friends ke saath baahar jaana …
Aur aapka police ke jaise mujhse enquiry karna …
Itna mera khayaal rakhnaa …
Aaj bhi yaad dilaati hain …

Woh papa se daant padvana …
Woh mummy ko bol dungi ki dhamki …
Woh aapki ice-cream chupke se kha jaana …
Aaj bhi yaad dilaati hain …

Woh pados ki ladkiyo ke naam se aapko chedna …
Woh TV ke liye hamesha jhagadna …
Aaj bhi yaad dilaati hain …

Mera yu faaltu cheeozo ke liye zidd karna …
Aur aapka woh poora kar denaa …
Aaj bhi yaad dilaati hain …

Papa ki main laadli hoon …
Mummy ki main pyaari gudiya hoon …
Aapki main pyaari chutki bhaiyyaa … 
Ki aaj aankhen bhar aayi hain … kaise main ye baat kahoon ….
Ki bhaiyya aapse ye bandhan bada anokha hain …
Khush kismet hu ki behen hu aapki …
Zindagi ne diya haseen ye mauka hain …

Rakhi ka ye paawan tyohar par …
Aapki yaad yuhi aati rahegi
Bhai mera hamesha khush rahe mera …
Har pal ye behena kehti rahegi …

Friday, July 27, 2012

Main Aur Meri Tanhaai

Ki khudaa ne banayi taqdir kuch aisi ....
Ki humein samjhe naa koi ...

Naa apne saath nibhaa paaye ...
Naa dildaar dillagi kar sake ...
Dosto ka saath naa jaane kyu chutaa ...
Duniyawaale bhi humein thukraa chuke ...

Naa koi tha ... Naa koi hain ...
Naa jaane kaun milegaa ...
Naa samjha ab tak koi humein ...
Kya koi humein samjhegaa ...

Meri tanhaai hi mera sachaa saathi hain ...
Yahi toh har pal mera saath nibhaati hain ...
Kuch pal ... kuch log
Kuch khushiyaan yuhi de jaate ...
Phir saath chut jaata ...
Phir wahi tanhaai ke raasto laut aate ...

Tanhaai aur saath ki ye aankh micholi main ...
Zindagi ka khel suhaana hain ...
Saath ka rishta ho naa ho ..
Par tanhai ka rishta puraana hain ...

Tanhaai main hi mera khudaa ...
Ye honsla kuch aisa jagaaye
Mann ke bhare ghaav ko ...
Yahi har pal sehlaaye ...

Kisi aur ka saath milaa naa mile ...
Par ae tanhaai tera saath nibhaate rehna
Tujhi se hain rishta gehra mera ...
Yu humse rukh na mod lena ... 

Main aur meri tanhaai ....
Bas yuhi gujarte jaayenge ....
Waqt dar waqt
Bas tujhme ghulte jaayenge  ....