Monday, August 13, 2012

Aazaadi abhi mili kaha hain

Aazaadi abhi mili kaha hain …
Jung toh ab bhi zaari hain …

Ab tak garibi se joojh rahe hain …
Aatandvaad aur naxalvaad jaise se muddo se har pal lad rahe hain …

Aazaadi toh bas madhyam varg ke liye hui hain …
Pichdi jaatiya aaj bhi mool hako se anjaan hain …

Kuch saalo tak goro ne raaj kiyaa …
Ab kuch kale chehre raaj karte hain …

Kuch gore loot le gaye apne saath …
Kaale chehre aaj bhi loot rahe hain …

Pehle bhi soshan hua karta tha …
Aaj bhi soshan ho raha hain …

Pehle lagan vasoolte the kamjoro se …
Aaj padhe likho se kar vasool rahe hain …

Aaj bhi desh ki adhiktam janta …
Do waqt ki roti se anjaan hain …

Kaagaz par bas bolne ko kaanoon hain …
Jise har pal toda marodaa jaataa hain …

Siksha se aaj bhi naa jaane …
Kitne laakho bachche anjaan hain …

Pooja aur mannato se bhari ye paavan dharti
Aaj nashe aur jue main doob rahi hain

Sanskriti aur sabhyata ki misaal hum …
Paschimi rang main ghulte jaa rahe hain …

Janta ke hitt ko chodkar ….
Kursi ke liye neta lad rahe hain …

Prakriti ke vardaan se
Dhan-dhaany aur khanij se paripoorn
Jalvaayu ki aseem kripa se …
Hara bhara ye desh mera …

Krantikaariyo ke naamo par maarg ban gaye …
Swatantrataa sailaaniyo bas kacheriyo ki tasviro main reh gaye …
Deshbhakti kitaabo aur geeto main reh gayi …
Kya ise aazaadi kahenge hum ??

Aaj bhi kyo vikaas ke path par …
Desh mera apaahij hain …
So gaya hain zameer jo mann main…
Aao milke aaj uthaaye …

Desh abhi in muddo se …
Aazaadi ki pukaar laga raha hain …
Kraanti ka samay aaya hain …
Aao iski mashaal jalaaye …

Aazaadi abhi mili kaha hain …
Jung toh ab bhi zaari hain …


“ Desh hain prem mera … Desh hain pratham mera …
   Desh ke liye jeevan mera … Desh hi sarvasv mera …… “