Saturday, October 26, 2019

Tyohaar

Bijli Ki Chamchamaati Lighton Main ...
Diyon Ki Roshni Aaj Kam Pad Gayi
Videshi Pataakho Ki Goonj Main ...
Apno Ki Aawaaz Kahi Ghum Gayi
Shehron Ki Bhaag Daud Main Kyu ...
Apne Piche Choot Gaye ...
Jo Dost The Sachche Kisi Zamaane Main ...
Kyu samay chalte rooth gaye
Bachchon Ke haathon ki fooljhadiyaan ...
Kyu mobile aaj cheen le gayi
Sab kuch tha kehne ko apne paas ...
Waqt ki daud main kyu ...
Woh hasti khilti saanse ruk gayi
Ab toh bas sikko ki khanak main ...
Ye poora din gujar jaata hain ...
Parivaar Ki Khushi Ke Liye Bas ...
Ye shareer yuhi thak jaata hain
Ye tyohaaro ki goonj ab ...
Kaano ko kyu na chu paati hain
Chooho ki daud main jee rahe hain ...
Kyu Saabit Karne Ki ...
Kashmakash har pal sataati hain
Bazaar Ki Mithaai Main ...
Maa ke haat ki suhaali yaad aati hain
Is shor sharaabe tyohaaro main ...
Bachpan ki masti yaad aati hain
Kuch samay nikaal ...
Apne liye bhi jee lena ...
Har tyohaar teri khushiyon Ke liye ...
Aaj bhi intezaar karte khadaa hain

Sunday, October 20, 2019

Phir Teri Kahani Yaad Aayi

Itne Pass Hokar Bhi Hum
Kitne Door Ho Gaye ...
Kyun Itne Badh Gaye Faasle Ki
Baat Karne Ko Majboor Ho Gaye ...

Ye Nighaahein Kyu Teri Hoti
Hue Bhi ...
Tujh Se Nazre Milaa Na Saki ...
Tha Pyaar Tujh Se Bahut ...
Par Dard Tha Kahi Baki ...

Tum Ab Bhi Utni Sundar Ho ...
Jaisa Maine Dekha Tha ...
Main Kuch Par Waqt Ke Saath ...
Dhal Sa Gaya Hoon ...

Zimmedaariyo Ke Bhoj Tale
Woh Yaadein Kahi Choot Gayi ...
Tujhe Aaj Dekh Kar ...
Aaj Zindagi Se Phir Meri Tamanaayein Toot Gayi ...

Phir Milo Kabhi Mujhse Maut Aane Se Pehle ...
Tumse Dil Ka Haal zaroor bataayenge ...
Tumhare kaandhe par sar rakh ...
Do aansoo bhi beh Aayenge ...

Ye Pyaar Ka Dard Tera Mujhe ...
Har pal Teri yaad dilaayega ...
Tera Na Ho Saka Main ...
Ye Ghum Hamesha Ke Liye Reh Jaayega

Marne se pehle Tera Deedar Ho ...
Khuda Se Yahi Khwaaish Rahengi ...
Rooh Meri Chale Jaane Ke Baad Bhi
Tere Zehen Ko Satayegi ...

Mujhe Maaf Karna ...
Main Tera Muqaddar Na Ban Saka ...
The tum apne par
Paraya Hi Tere Khaatir Ban Saka

Wednesday, October 9, 2019

Jhooti Duniya

Ghar Ki Khwaaishon Ko
Poora Karne Ke Liye
Kuch Sapne Aaj Bech Diye ...

Bachche Ko Woh Nanha Khilona Paane Ke Liye
Khud Ke Zameer Ko
Bazaar Main Kodi Ke Daam Bech Diye ....

Biwi Ke Maayke Ki
Shauno-Shaukat Ko
Zinda Rakhne Ko ...

Is Shareer Ko Yuhi Aur
Dard Dete Rehte

Apne The Chaaro Or
Phir Bhi Duniya Ke Taane
Chup Chaap Bas Sehte Rahe ...

Mere Sangarsh Ko Meri
Kamjori Na Samajna ...
Kyunki Main Har Din Satya Ki
Ladaai Ladta Hoon

Jhooti duniya ke dhundle rango se parah reh kar ...
Ek alag hi indradhanush ke liye
Har pal sabse jhagadta hoon

Samajhne main itni bhi deri na karna ki ...
Shamshaan main hi bas meri taareef nikle

Satya Toh Atal Tha ...
Atal Hain ...
Atal Rahega ...

Bas Tumhe Jhooti Duniya Ki
Rasme Kuch Yu Bhaa Gayi ...
Ki Apno Ko Chod Tum
Gairo Se Rishta Jod Gaye ...

Paap ki into se makaan bana
Bhi loge toh kya hoga ...
Chain Ki Neend Toh Mehnat Ke
Karmo Se Aakhir Aayegi

Ho kitne bhi dhanwaan tum
Is jhooti duniya main
Bar Jo Kiya Hain Uske Rehte
Baichani Har Waqt Sataayegi ...

Zinda Rehte Mere Kuch Haseen Pal Mere Saath ...
Waqt Nikaal Kar Ke Jee Lena ...
Jhooti duniya ki Daud Main
Mujh sachche ke jaane ke baad
Bas meri yaad jalaate rehna ...