Monday, July 10, 2017

Shunya - Zero

Betiyon Ke Beech Ek Bete Ki
Daud Main Jeet Gaya ...

Par naa jaane kyu Zindagi ki
Daud Main Haar Gaya ...

Jab bachche khilonaun se khelte the ... Humne toote seeshe se rishta jod liya
Apne gaalon pe 16 taakon ko
naata jod liyaa ...

Haalaton aur Kisson main ...
Kai apnon ke Dard saath main lete gaye

Pitaah ki daant aur
Maa Ki Aashaon Ka Bojh Bachpan main Saath lete gaye ...
Madhyam varg ki seemaon se ...
Kai baar kudne ki koshish ki
Kabhi sachche pyaar ke liye ...
Kabhi bulandiyon ki roshni ke liye

Par waqt ne ne is Shunya ( Zero ) ko ...
Apni hasraton kaa muqaam dikhaya Engineering ki jadh-o-jehed main
Khajoor ke ped pe latkaaya ...
Rishton ki ulajahti gutthiyon se
Kahi door jaane ki jab koshish ki

Kismat phir wahi darwaaze main
Kheech tujhe le aayi ...
Saabit karne ko ki Tu
Shunya hain aur kuch nahi ...
Tu kisi ke kaabil nahin ...

Teri naakaamiyon se
Tere apne paraaye ho gaye ...
Gaya tha tu roshan karne
Jahaan Teri khud ki mashaal bujhane lagi ...

Waqt ke saath teri naakaamiyan
Tujhi ke saath ulajhne lagi ...
Jo ek Prerna jo tune tere
Aane waale kal main doondhi thi
Woh tujh se wafa kar naa kar saki ...

Teri Kismat ne phir se tujh se nafrat ki ..
Ye taklifein tujh se judaa na ho saki ...
Teri ye daud yuhi khatam naa Hone dena

Kismat karvat legi Sunhera kal aayegaa
Ye shunya ( Zero ) ki kimat
Aanewaala waqt apnayega

Jo tere shunya ki kaabiliyat ko doondhate Tujh se judaa ho jaayenge
Wahi teri shunya ki gaatha
Aasmaanon main lehraayenge ...

Shunya ki khoj main
Jeevan saara beet gaya ...
Lo aane waali kal ki peedi
Is Khoj ka vardaan ....
Ye tumhaare hi geet gaayega ... !!!