Tuesday, November 29, 2011

Namkeen kisse


Rutha hua hain yaar mera,
Kaise unhe manaaye …
Kabhi pyaar itna kare aur ,
Kabhi yuhi jhallaa jaaye ….
Masti bhari who mastaani hain …
Mere hothon ki who ghazal puraani hain ….
Kabhi bigadti toh kabhi ulajhti hain ….
Meri yaadon main ….
Teri hi muskaan sajti hain …
Tum rusogi main manaa lungaa ….
Tum sataaogi toh main bhi has dungaa ….
Ye saare namkeen kisse hi toh …
Yaado main reh jaayenge …
In palo ko samet kar hi …
Khushiyon se bhara ghar sajaayenege ….
Tum saath mera har kadam par yuhi nibhaate rehna …
Zindagi ke har mod par chalte hue bas yahi tum kehna …
Ki saathi tera pyaar  har pal yuhi mujhe milta rahe …
Tere prem ki jyot se mere mann ka deep yuhi jaltaa rahe ….

Tuesday, November 15, 2011

Zindagi Lagti Kuch Khaas Hain


Ghanto email chatting par beet jaate hain …
Phir bhi aaj kyu haath ka likha khat khaas hain …

Dost kai hain college aur FB main …
Phir bhi aaj kyu school ka dost lagtaa khaas hain …

Lambe samay tak mobile ki baatein khatam naa hoti …
Phir bhi kyu PCO ke 2 minute ki baatein aaj bhi khaas hain …

Mall main jaake pizza burger hum khaate …
Phir bhi nukkad ki bhel aaj bhi khaas hain …

I-pod aur player par remix shor kar rahe hain …
Phir bhi radio par raat main kishore lata ke gaane kyu khaas hain …

Computer aur playstation par game khel liye kai ….
Phir bhi galli ka cricket aaj bhi khaas hain …

Disco party main thumke lagaa rahe hain …
Phir bhi ganpati visarjan ka dance kyu khaas hain …

Girfriend kai pataa li aaj toh kyaa ??
Phir kyu pehlaa pyaar aaj bhi khaas hain …

Tirupati aur vaishnodevi main kai baar gaye ….
Phir bhi mohalle ka mandir khaas hain …

Chote chote palon ki ye chaasani
Zindagi ki mithaai main ghol rahi mithaas hain
Zindagi inhi lamho se yaadgaar hain …
Isliye zindagi lagti kuch khaas hain