Monday, June 16, 2014

Har Din Ek Nayi Ladaai Ladtaa Hoon



Har din ek nayi ladaai ladtaa hoon
Har roz ek nayi maut marta hoon
Apne aap ko saabit karne ki is duniya main
Har pal ek nayi koshish karta hoon

Aage badhne ki chaah main
Hum tum sabhi kyu bhaag rahe hain
Is pal ki jo khushiyaan hain …
Na jaane kyu aanewaale kal main chaan rahe hain

Is choohon ki daud main
Kahi main peeche choot naa jaau
Kaamyaabi ki moorat banaate hue
Kahi khud hi naa toot jaau

Kabhi main samaaj se ladta hoon
Kabhi main apno se ladta hoon
Kabhi apne aap se ladta hoon
Har pal kuch paane ko ladta hoon
Jo haasil hain use khone se darta hoon

Paane aur khone ki is kashm-a-kash main
Khud ko bhula naa dena
Zindagi ke safar main
Har pal main muskuraate rehna

Kabhi gam ke baadal chaayenge
Kabhi khushiyon ka aanchal lehraayegaa
Tu jee le jee bhar ke is zindagi ko
Kyunki pyaare ye ladaai yuhi chalti rahegi

Ye ladaai yuhi chalti rahegi …
Jab tak is shareer main aatma ka vaas hoga
Shareer ka dard phir bhi samay ke saath mit jaayega
Lekin aatma ka dard mitaaye nahi mitega

Kuch saalo ki zindagi ko
Khul ke pyaare jeena
Tu rahe yaa naa rahein
Ye ladaai … ye daud yuhi jaari rahegi
Beeti hui zindagaani teri
Tujh par has ke phir kahegi
Kuch pal toh pyaare khud ke liye jee letaa
Aasmaan toh mila nahi tujhe

Muthi bhar zameen ko hi dil se jee letaa