Wednesday, March 9, 2022

Phir Se

Baap Kabhi Gussa Kiya Karte The 
Phir Se Mann Se Gussa Karo Na ...

Maa Kabhi Kutaa Karti Thi Hamein 
Phir Se Zor Se Ek Chapet Do Na ...

Bada Bhai Gyaan Diya Karta Tha 
Phir Se Raah Dikha Do Na ...

Behan Jo Har Waqt Chinta Karti Thi 
Phir Se Sambhaal Lo Na ...

Dadaji Jo Pyaar Se Jhappi Dete The 
Phir se wahi pyaar lauta do na ...

Dadi jo pure parivar ko jode Hui thi 
Phir se sab ke saath ka pal dila do na...

Nanaji jo kisso se waqt bhar dete the 
Phir Se Apna Tajurba is Shan main dila do na ...

Naani ke gullak se bahut paise mile 
Phir Se Kuch apne haatho se khila do na...

School ke teacher ne bahut kaan khiche 
Phir se ek baar galti ko samjha do na ...

Jigri Dost Tha Jo Har Par mere saath 
Phir Se Ae Dost meri taakat ban jao na ...

Woh chote makaano main zameen par khaya karte the sab saath main 
Phir se woh sukh ka khana dilo do na ...

Paidal Kai raaste chale doston ke saath 
Phir se woh galiyaan dhoondh Lao na ...

Bachpan ki woh Masti aur Thakaan Jo 
Khatam Na hoti thi 
Phir Se kuch pal ke liye usko la do Na ...

Thaka hoon jimmedaariyon ke bojh tale 
Phir Se Koi sukun waali neend dila do na ...

Adhoora pyaar bhi kuch haseen tha 
Jawaani main 
Phir Se Koi Kavita Tere Naam likhu 
Aisi tadap phir se jaga do na ...

Marta hoon har roj ek nayi maut 
Phir se ek din ki chain ki zindagi dila do na ...

Thursday, June 24, 2021

Waqt

Waqt imtehaan leta rahegaa ...
Kabhi haalaaton se ...
Toh Kabhi Rishton ke Bandhan se ...

Ye kaamyaabi ki Daud Main ...
Kahi Sapne Piche Rah Gaye 
Toh Kahi Apne rooth Gaye ...

Haar Naa Maan Ae Rab Ke Bandhe ...
Tere Karm tujhe har mod pe ...
Teri aukaat dikhaayega !

Thursday, April 15, 2021

Karma aur Dharma

Mandir main daan dene ki 
Ye Saja Nahi Hain ...
Ye toh Bas Apne karmo Ka 
Hisaab Hain ...

Dharm ke liye ladne se achcha ...
Insaniyat ke ladte toh ...
Toh ye saari Duniya ke liye 
Insaaf Hain ...

Par ye manushya Lobh Moh Maaya
Main fas Kar ...
Khud ko Kabhi Samajh Nahi paaya !
Ishwar toh hum sab main tha ...
Kyu ye matlabi dimaag 
Us se ubhar na paaya !

Ye jo tera abhimaan hain !
Ye jo gumaan hain !
Sab yahi Rakh ke chala jaayega !
Mitti se hi Tu Aaya tha ...
Mitti main hi mil jaayega !

Sunday, March 28, 2021

Holi Ke Rang

Logo Ke Badalte Rango Ke Saath ...
Holi Ke Rang Fike Pad Gaye 

Hua Karte The Jo Apne Kabhi ...
Aaj Apno Se Hi Lad Gaye 

Nafrato Ke Bazaar Main ...
Kaha Ye Gulaal Ki Pichkaari Tik Paayegi 

Swaarth Aur Lobh Ki Moh Maaya Main ...
Hasi Ke Gubbaron Ki Tokri Nazar Na Aayegi ...

Idhar Udhar Ki 
Agal Bagal Ki ...
Baato Ki Tu Parwa Na Kar ...

Sai Ki Leela Main Mast Reh Bande ...
Bhakti Ki Holi Main Har Pal Yuhi Tu Sawra Kar 🙏🏻

Monday, July 20, 2020

Saathi

Shaadi Ke Saat Vachan
Kyu Itni Jaldi Bhool Gaye ...
Sang Jiyenge ... Sang Marenge ...
7 Janam Ka Saath Bas Yuhi ...
7 Saal Main Bhula Kar Chal Diye ...

Kuch Koshishe Thi ...
Kuch Faasle The ...
Kuch Sangarsh Tha ...
Kuch Sapne The ...

Kyu Tum Isme Pyaar Ko ...
Samay Ke Saath bun Paai !
Saathi hoon tera Jeevan bhar ka ...
Kyu ye baat Samajh Na Paai !

Log Jeevan main aate rahenge ...
Kuch Saath denge ... Kuch choot jaayenge ...
Ye jeevan saathi Ka sirf ek rishta hain ....
Jo marte dum tere Saath rahega ...

Ho kitne bhi matbhed par ...
Saathi tujhse na door jaayega ....
Mere Dil ki Khwaaish Hain Ki ...
Tujh Se Kabhi toh ye Mann Mil Paayega !

Tuesday, March 31, 2020

Tu Hi Raam Hain !

Moh Laalach Ke Raavan Ko 
Maarne Ke Liye Ram Bananaa Padega Tujhe .....

Ye 21 Din Ka Vanvaas ...
Teri Agni Pariksha Hain 

Tere Saath 130 Crore Vaanar Sena 
Teri Ladaayi Main Khada Hain 

Aur Modi Ae Ram Tere Liye Hanuman Banke
Poori Duniya Se Adaa Hain 

Tu Ghar Main Rehke Ye Laxman Rekha 
Paar Naa Kar Dena ...
Bas yahi jap karte rehna ...
Aayega Kal Raam Raajya ...
Bas yuhi Ram Naam Japte Rehna .... !!!

Jai Shree Ram !

Thursday, March 26, 2020

Karma

Vakt kuch tham sa gaya hain ....
Duniya tham gayi hain 

Ae Insaan teri zarooratein 
Kyu kam nahi hoti ...
Teri hasratein kyu
Kyu band nahi hoti ...

Ye lobh Ye Moh ...
Is Dagar Pe Le Aaya Tujhe ...

Ki Pashu Pakshi Aazaad 
Ghoom Rahe Hain....
Tere Karmo Ke Kaaran 
Aaj Har Ek Insaan 
Nazarband Ho Rahe Hain ...

Tere kaale paise ka daan 
Insaaniyat ko raas na aayega ...
Hain tujhe fikr tujhe main base 
Insaan Ki ....
Toh har din logo ki fikr ke 
Saath jeena shuru kar de ...

Kalyug ki Lalkaar tere 
Karmo Ki Cheek Se Kaanp Rahi Hain ...
Itna matlabi naa ban ae Insaan 
Ki kahi deri naa ho jaaye ...

Itna mat bhaag paise ke peech ...
Ki rishte aur apne choot jaaye 
Tere marne par bas 
Teri akad yuhi tere saath jalaa di jaaye ...