Wednesday, March 9, 2022

Phir Se

Baap Kabhi Gussa Kiya Karte The 
Phir Se Mann Se Gussa Karo Na ...

Maa Kabhi Kutaa Karti Thi Hamein 
Phir Se Zor Se Ek Chapet Do Na ...

Bada Bhai Gyaan Diya Karta Tha 
Phir Se Raah Dikha Do Na ...

Behan Jo Har Waqt Chinta Karti Thi 
Phir Se Sambhaal Lo Na ...

Dadaji Jo Pyaar Se Jhappi Dete The 
Phir se wahi pyaar lauta do na ...

Dadi jo pure parivar ko jode Hui thi 
Phir se sab ke saath ka pal dila do na...

Nanaji jo kisso se waqt bhar dete the 
Phir Se Apna Tajurba is Shan main dila do na ...

Naani ke gullak se bahut paise mile 
Phir Se Kuch apne haatho se khila do na...

School ke teacher ne bahut kaan khiche 
Phir se ek baar galti ko samjha do na ...

Jigri Dost Tha Jo Har Par mere saath 
Phir Se Ae Dost meri taakat ban jao na ...

Woh chote makaano main zameen par khaya karte the sab saath main 
Phir se woh sukh ka khana dilo do na ...

Paidal Kai raaste chale doston ke saath 
Phir se woh galiyaan dhoondh Lao na ...

Bachpan ki woh Masti aur Thakaan Jo 
Khatam Na hoti thi 
Phir Se kuch pal ke liye usko la do Na ...

Thaka hoon jimmedaariyon ke bojh tale 
Phir Se Koi sukun waali neend dila do na ...

Adhoora pyaar bhi kuch haseen tha 
Jawaani main 
Phir Se Koi Kavita Tere Naam likhu 
Aisi tadap phir se jaga do na ...

Marta hoon har roj ek nayi maut 
Phir se ek din ki chain ki zindagi dila do na ...

6 comments:

Gyan Prakash said...

Nice Thoughts

Unknown said...

Wow great Sir really ish Kavita ko padhne ke baad apne Bachpan ki yado me chala gaya mai to . really it's heart touching very nice sir

Unknown said...

Very Well Written, there is so much to miss in think super fast life.

Unknown said...

Hope you get all you desire in your life and have a happy and peaceful life

Unknown said...

True very nice words

Nishikant said...

Good One
How relations play vital role in what we are today reflected